Kyaon kahin ham khuda nahi milta
Hamko apna pata nahi milta
Kyaon kahin ham khuda nahi milta
Kyaon kahin ham khuda nahi milta
Ae shab-e-hijr teri umr daraaz
Tujhsa dard aashna nahi milta
Tujhsa dard aashna nahi milta
Dosti teri saari dunya se
Mujhse kyaon dil tera nahi milta?
Mujhse kyaon dil tera nahi milta?
Ho gae gham se is tarha manos
Ab khushi mein maza nahi milta
Ab khushi mein maza nahi milta
Khud hi kahete hain khud hi sunte hain
Jab koi dosra nahi milta
Jab koi dosra nahi milta
Ishq mein kya rakha hai ye mat poch
Dekh ye is mein kya nahi milta!
Dekh ye is mein kya nahi milta!
Kho gaya is tarha mein apne me
Dhondta hoon pata nahi milta
Dhondta hoon pata nahi milta
Maekadon mein janab-e-sarwer
Ek bhi parsa nahi milta…
Ek bhi parsa nahi milta…

Aap aatey hain to milney se khushi hoti hai
Aap aatey hain to milney se khushi hoti hai
Haey kya cheez mohabbat ki ghadi hoti hai
Haey kya cheez mohabbat ki ghadi hoti hai
Dil jo duniyan se utha to mila khud ka pata
Bekhudi may bhi nehan rasm-e-khudi hoti hai
Bekhudi may bhi nehan rasm-e-khudi hoti hai
Manzil-e-ishq ki asaaniyan ALLAH ALLAH
Sahel samjho jisey dushwaar wohi hoti hai
Sahel samjho jisey dushwaar wohi hoti hai
Main jo hansta hoon to koi nahi hansne wala
Aur rota hoon to duniyan ko khushi hoti hai
Aur rota hoon to duniyan ko khushi hoti hai
Ihsq may hosh udey jab to samajh may aaaya
Zamin-e-hosh yehi bekhabri hoti hai
Zamin-e-hosh yehi bekhabri hoti hai
Lakh dil us se lagao bhi to hota kya hai?
Dost kis ki bhala duniya-e-dani hoti hai
Dost kis ki bhala duniya-e-dani hoti hai
Ham ko shamsheer-o-silasil se darane walo!
Kahin aese bhi mohabbat may kami hoti hai?
Kahin aese bhi mohabbat may kami hoti hai?
Kya mazey aate hain phir sham-e-tamanna serwer
Main idhar aur udhar ashifta sari hoti hai…
Main idhar aur udhar ashifta sari hoti hai…
No comments:
Post a Comment