Pages

Monday, 15 August 2011

Love Shayari(2)

Tumhare een khoobsoorat aankhone muzhpe jaado kya chalaya
samhaj mein nahi aata ye kaisa jam tumhne pilaya
din ke ujhale me bhi na jane kahan sa koh jata hoon mein
samandar se gheri een band aankhome bhi doob jata hoon mein…

Kya pata tha hume ki hum bhi kabhi aapse milenge
socha kisne tha ki ek din hum bhi pyar ke samandar mein kho jayenge
ye to rab ki meher hai ki is nacheez ko bhi usne kabil samjha
duva mein aapka haath humhe dena sahi samjha…

Aaj pher li unhone aankhe humse,
Jo humpe jaan nisaar karte the.
Aaj naam lete bhi katraate hain,
Jo kabhi humse muhabbte ikrar karte the.

Na khuda dil banata na kisise pyar hota,
Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota.
Dil diya hai ise sambhal ke rakhna,
Shishe se bana hai pathar se dur rakhna!
 
Agar hum na hote to ghazal kaun kehta,
Aap ke chehre ko kamal ko kehta,
Yeh to karishma hai mohabbat ka,
Varna pathro ko tajmahal kaun kehta..

http://notebookoflove.com/wp-content/uploads/2011/06/love-11.jpg
 
Chaho to dil se hamko mitta dena
Chaho to humko bhula dena
Par Yeh wada karo ki aaye jo kabhi yaad hamari
To rona nahi Bus muskura dena…
 
Tarasti nazaron ki pyas ho tum,
Tadapte dil ki aas ho tum,
Bujti zindagi ki sas ho tum,
Phir kaise na kahu?.. kuch khas ho tum…
 
Aankhon Me Armaan Diya Karte Hai,
Hum Sabki Neend Chura Liya Karte Hai,
Ab Se Jab Jab Aapki Palkay Jhapkeygi…..
samaj Lena Tab Tab Hum Aapko Yaad kiya karte Hai…..!

Teri har suba muskurati rahe
teri har shaam gungunati rahe
tu jise bhi mile iss tarah se mile ki
har milne wale ko teri yaad satati rahe…
 
Kisi ko paas aane mein waqt lagta hai
kisi ko apna banane mein waqt lagta hai
jab manga khuda se apko
usne kaha “anmol cheez pane mein waqt lagta hai”
 
Na tasvir hai tumhari jo didar kiya jaye
na tum paas ho jo pyaar kiya jaye
ye kaun sa dard diya hai aapne
na kuchh kaha jaye, na tum bin raha jaye..
 

Sab kuch milta hai bas ek “khudai” ke siwa,
zindagi bahut pasand aayi ek “ruswai” ke siwa,
meri chahat ka ehsas bhi na kar sako ge tum,
us ki har ada pasand hai ke “bewafai” ke siwa.

http://lovequotespoems.com/wp-content/uploads/2011/07/what-is-love.jpg
 
Unki ankho se kash koi ishara to hota
kuch mere jeene ka sahara to hota
tod dete hum har rasm zamane ki
ek baar hi sahi usne pukara to hota..
Pyar ka anjam kaun sochta hai,
Chahne se pahle niyat kaun dekhta hai.
Mohabbat hai ek andha ehsas,
Karte hain sab par mukam kaun janta hai….

No comments:

Post a Comment