Pages

Tuesday, 16 August 2011

Funny Poem (Hindi)

Click ho gaya Mouse

Ho gayi galti humse, click ho gaya mouse
Duniya ki parwaah chhodo, ban jaao meri spouse!

Tumse mila main kal to, mere dil mein hua ek sound,
Lekin aaj tum mili to kehti ho; Your file not found!

Ab aur kaho na tum, “but” ya “if”
Tum ho meri zindagi ki animated gif

Aisa bhi nahin hai ke, I don’t like your face
Par dil ke computer mein, nahin hai enough disk space

Ghar se nikalti ho tum jab, pehen ke evening gown
Too many requests se, ho jaata hai server down

Tumhaare liye pyaar ki application, create main karoonga
Tum usse debug karna, wait main karoonga

Tumhaara intezaar karte karte, main so gaya
Yeh dekho mera connection, time out ho gaya

Kya chaal hai tumhaari, jaise chalti hai koi cat
What is your ICQ numbre, aao karein chat

Tum jabse meri zindagi mein, aayi ho banke female
Yaad raha na ab kuch, na postman, na e-mail

Main tumhein pyaar kyun karoon, tum nahin ho Ash,
Phir bhi tumhe dekh kar mera, system hota hai crash


Phoolon ki Tarah

Phoolon ki tarah lagti ho
Chandan ki tarah mahakti ho
Khud bhi tum gamakti ho
Auro ko bhi gamkati ho
Tum rajni gandha ki tarah lagti ho
Badal ki tarah barasti ho
Sawan ki tarah andheri raton main
Bijli ki tarah chamkti ho
Barsat ki suhani rato main
Khud bhi pagal ho jati ho
Auro ko bhi pagal kar deti ho
Tum morni ki tarah lagti ho
Titliyon ki tarah ithlati ho
Jab phoolon ko dekhti ho
Bulbul ki tarah chahkti ho
Jab ‘Avinash’ ko dekhti ho
Khud bhi tum bahakti ho
Auro ko bhi bahkati ho
Tum ‘Basanti hawa’ ki tarah lagti ho.
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhi7lq3C8wcAbL_p-E9f5qbu6PwEMxXCFNm504iyqRKROgZfUcqcss8-U9w2ohERnXQX1yCDiy-9-p7-A1643wMd2xUz4rI4IiNTTL-WwKI7dgIRrvhWPepEUEdh3d-Zme6BuiO4HvxsgIL/s400/125qa6r.gif

Kohre ka Jab Dhundhla

Kohre ka jab dhundhla kambal odhe subah lautegi
Uni shal main simti ladki fir se mujhko sochegi
Sham Udashi ki hogi aur jhoom ke barish barsegi
Kab ye maine socha tha wo aisi rat main bichhregi
Aaj shajar ki shakh hari hai kitne parindo thahre hue hain
Ek din aisa hoga sukhi, dal parinde dhundhegi
Ja e ‘Avinash’ Uss se kahna duniya mujhse jeet gayi hai
Rel ke chhut jane par bhi jo, rasta mera dekhegi
Bachna nadiya barish ke iss pyare pyare mausham se tu
Aisa karegi tujhpe sitam tu, apna sahil dhundhegi.

No comments:

Post a Comment